zara si baat par naraaz hona ranjishen karna
zarā sī baat par nārāz honā ranjisheñ karnā
mohabbat meñ use aatā nahīñ gunjā.isheñ karnā
mirī beTī ne mujh ko dekh kar sīkhā hai barsoñ meñ
purānā ā.īna rakh kar na.ī ārā.isheñ karnā
mirī almāriyoñ meñ qīmtī sāmān kaafī thā
magar achchhā lagā us se ka.ī farmā.isheñ karnā
mujhe bachchoñ kī āñkhoñ meñ vo saare rañg milte haiñ
jinheñ chhūne se aa.e zindagī kī ḳhvāhisheñ karnā
'humairā' dhyān rakhnā Dūbte sūraj kī aahaT kā
sadā chaḌhtī utartī dhuup kī paimā.isheñ karnā
zara si baat par naraaz hona ranjishen karna
mohabbat mein use aata nahin gunjaishen karna
meri beTi ne mujh ko dekh kar sikha hai barson mein
purana aaina rakh kar nai aaraishen karna
meri almariyon mein qimti saman kafi tha
magar achchha laga us se kai farmaishen karna
mujhe bachchon ki aankhon mein wo sare rang milte hain
jinhen chhune se aae zindagi ki KHwahishen karna
'humaira' dhyan rakhna Dubte suraj ki aahaT ka
sada chaDhti utarti dhup ki paimaishen karna
- Book : urdu gazal ka magribi daricha (Pg. 75)
- Author : javaaz jaafri
- Publication : fazli book super market (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.