zara si der jale jal ke rakh ho jae
zarā sī der jale jal ke raakh ho jaa.e
vo raushnī de bhale jal ke raakh ho jaa.e
vo āftāb jise sab salām karte haiñ
jo vaqt par na Dhale jal ke raakh ho jaa.e
maiñ duur jā ke kahīñ bāñsurī bajā.ūñgā
balā se rome jale jal ke raakh ho jaa.e
vo ek lams-e-gurezāñ hai ātish-e-be-soz
mujhe lagā.e gale jal ke raakh ho jaa.e
koī charāġh bache sub.h tak to tārīkī
usī charāg-tale jal ke raakh ho jaa.e
zara si der jale jal ke rakh ho jae
wo raushni de bhale jal ke rakh ho jae
wo aaftab jise sab salam karte hain
jo waqt par na Dhale jal ke rakh ho jae
main dur ja ke kahin bansuri bajaunga
bala se rome jale jal ke rakh ho jae
wo ek lams-e-gurezan hai aatish-e-be-soz
mujhe lagae gale jal ke rakh ho jae
koi charagh bache subh tak to tariki
usi charag-tale jal ke rakh ho jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.