zara si der ko aata hai lauT jata hai
zarā sī der ko aatā hai lauT jaatā hai
milan kī aas jagātā hai lauT jaatā hai
marīz-e-ishq ko de kar vo pyaar kā nusḳha
ḳhalish ko aur baḌhātā hai lauT jaatā hai
vo ek baar bhī suntā nahīñ mirī arzī
bas apnī baat sunātā hai lauT jaatā hai
jhagaḌ ke niiñd meñ aksar vo be-sabab mujh ko
darūn-e-ḳhvāb rulātā hai lauT jaatā hai
vo ishq ban ke utartā hai mere āñgan meñ
vafā ke diip jalātā hai lauT jaatā hai
dam-e-firāq vo letā hai pyaar kī qasmeñ
sunahre ḳhvāb dikhātā hai lauT jaatā hai
'zakī' ye kaun hai jo roz merī turbat par
yuuñ aa ke ashk bahātā hai lauT jaatā hai
zara si der ko aata hai lauT jata hai
milan ki aas jagata hai lauT jata hai
mariz-e-ishq ko de kar wo pyar ka nusKHa
KHalish ko aur baDhata hai lauT jata hai
wo ek bar bhi sunta nahin meri arzi
bas apni baat sunata hai lauT jata hai
jhagaD ke nind mein aksar wo be-sabab mujh ko
darun-e-KHwab rulata hai lauT jata hai
wo ishq ban ke utarta hai mere aangan mein
wafa ke dip jalata hai lauT jata hai
dam-e-firaq wo leta hai pyar ki qasmen
sunahre KHwab dikhata hai lauT jata hai
'zaki' ye kaun hai jo roz meri turbat par
yun aa ke ashk bahata hai lauT jata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.