zara si der ko chamka tha wo sitara kahin
zarā sī der ko chamkā thā vo sitāra kahīñ
Thahar gayā hai nazar meñ vahī nazāra kahīñ
kahīñ ko khīñch rahī hai kashish zamāne kī
bulā rahā hai tirī aañkh kā ishāra kahīñ
ye lahr bahr jo miltī hai har taraf dil meñ
badal gayā hī na ho zindagī kā dhārā kahīñ
ye soch kar bhī to us se nibāh ho na sakā
kisī se ho bhī sakā hai mirā guzāra kahīñ
ravāñ-davāñ raho har-chand 'āftāb-husain'
dikhā.ī detā nahīñ duur tak kināra kahīñ
zara si der ko chamka tha wo sitara kahin
Thahar gaya hai nazar mein wahi nazara kahin
kahin ko khinch rahi hai kashish zamane ki
bula raha hai teri aankh ka ishaara kahin
ye lahr bahr jo milti hai har taraf dil mein
badal gaya hi na ho zindagi ka dhaara kahin
ye soch kar bhi to us se nibah ho na saka
kisi se ho bhi saka hai mera guzara kahin
rawan-dawan raho har-chand 'aftab-husain'
dikhai deta nahin dur tak kinara kahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.