zara si raushni ke waste ai mehrban maine
zarā sī raushnī ke vāste ai mehrbāñ maiñ ne
jalā Daalā hai dekho ḳhud hī apnā āshiyāñ maiñ ne
sitam dekho usī ne zahr gholā zindagānī meñ
jise samjhā kiyā ab tak rafīq-o-rāz-dāñ maiñ ne
na pūchho kitne armānoñ kī lāsheñ dafn kiiñ maiñ ne
sajā.ī haiñ tamannāoñ kī kitnī arthiyāñ maiñ ne
qadam rāh-e-mohabbat meñ sañbhal kar dosto rakhnā
luTāyā hai isī raste meñ apnā kārvāñ maiñ ne
shabāb aayā hai 'ashraf' ab shabistān-e-tasavvur par
lahū de de ke sīñchā thā ḳhayāl-e-gulsitāñ maiñ ne
zara si raushni ke waste ai mehrban main ne
jala Dala hai dekho KHud hi apna aashiyan main ne
sitam dekho usi ne zahr ghola zindagani mein
jise samjha kiya ab tak rafiq-o-raaz-dan main ne
na puchho kitne armanon ki lashen dafn kin main ne
sajai hain tamannaon ki kitni arthiyan main ne
qadam rah-e-mohabbat mein sanbhal kar dosto rakhna
luTaya hai isi raste mein apna karwan main ne
shabab aaya hai 'ashraf' ab shabistan-e-tasawwur par
lahu de de ke sincha tha KHayal-e-gulsitan main ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.