zarā ye kaam mere mehrbāñ kar
ḳhamoshī ko kabhī apnī zabāñ kar
maiñ apne aap se chhup sī ga.ī huuñ
kabhī aa kar mujhe mujh par ayaañ kar
are dard-e-judā.ī multajī huuñ
mire dil meñ utar mujh meñ makāñ kar
tabī.at muzmahil rahne lagī hai
kisī kā haal mujh se mat bayāñ kar
dil-o-jāñ par guzar jaa.e qayāmat
sitam mujh par na yuuñ dard-e-nihāñ kar
duā degī tujhe dil se 'duā' bhī
bharosā us pe thoḌā bad-gumāñ kar
zara ye kaam mere mehrban kar
KHamoshi ko kabhi apni zaban kar
main apne aap se chhup si gai hun
kabhi aa kar mujhe mujh par ayan kar
are dard-e-judai multaji hun
mere dil mein utar mujh mein makan kar
tabiat muzmahil rahne lagi hai
kisi ka haal mujh se mat bayan kar
dil-o-jaan par guzar jae qayamat
sitam mujh par na yun dard-e-nihan kar
dua degi tujhe dil se 'dua' bhi
bharosa us pe thoDa bad-guman kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.