zard chehron pe shadmani de
zard chehroñ pe shādmānī de
harf-e-be-nām ko kahānī de
reza reza bikhartā jaatā huuñ
mujh ko merī koī nishānī de
ḳhauf Das jā.egā makīnoñ ko
lafz tiryāk ko ma.ānī de
ai sharāb-e-tahūr ke mālik
pyāse logoñ ko saada paanī de
saarī bastī ko mat jalā maulā
bijliyoñ ko mirī nishānī de
jin ko hijrat ne maar Daalā hai
un ko jiine kā izn-e-sānī de
zard chehron pe shadmani de
harf-e-be-nam ko kahani de
reza reza bikharta jata hun
mujh ko meri koi nishani de
KHauf Das jaega makinon ko
lafz tiryak ko maani de
ai sharab-e-tahur ke malik
pyase logon ko sada pani de
sari basti ko mat jala maula
bijliyon ko meri nishani de
jin ko hijrat ne mar Dala hai
un ko jine ka izn-e-sani de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.