zard mausam ke ek shajar jaisi
zard mausam ke ik shajar jaisī
saarī bastī hai mere ghar jaisī
jab bigaḌtā hai vaqt insāñ kā
chhipkalī lagtī hai magar jaisī
saañs jaise safar meñ hai raahī
apnī kaayā hai rahguzar jaisī
chhūT jaatā hai rañg chhūne se
ḳhvāhisheñ titliyoñ ke par jaisī
aur kyā ham ġharīb rakhte haiñ
ek daulat hai bas hunar jaisī
zindagī aaj ke zamāne meñ
bahr-e-zulmāt ke safar jaisī
hai zamīr aur jism meñ 'anjum'
kashmakash kashtī aur bhañvar jaisī
zard mausam ke ek shajar jaisi
sari basti hai mere ghar jaisi
jab bigaDta hai waqt insan ka
chhipkali lagti hai magar jaisi
sans jaise safar mein hai rahi
apni kaya hai rahguzar jaisi
chhuT jata hai rang chhune se
KHwahishen titliyon ke par jaisi
aur kya hum gharib rakhte hain
ek daulat hai bas hunar jaisi
zindagi aaj ke zamane mein
bahr-e-zulmat ke safar jaisi
hai zamir aur jism mein 'anjum'
kashmakash kashti aur bhanwar jaisi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.