zard patton ka ghubar uDta hua
zard pattoñ kā ġhubār uḌtā huā
ḳhema-e-gul meñ sharār uḌtā huā
bah chukī gadrā.e jismoñ kī sharāb
lams-e-avval kā ḳhumār uḌtā huā
sab ne dekhā aur sab ḳhāmosh the
ek suufī kā mazār uḌtā huā
lag chukī hai sabz dariyāoñ meñ aag
bhaap ban kar ābshār uḌtā huā
mutma.in dīvār par hai chhipkalī
ḳhud hī aa.egā shikār uḌtā huā
us ne aa kar haath māthe par rakhā
aur mintoñ meñ buḳhār uḌtā huā
zard patton ka ghubar uDta hua
KHema-e-gul mein sharar uDta hua
bah chuki gadrae jismon ki sharab
lams-e-awwal ka KHumar uDta hua
sab ne dekha aur sab KHamosh the
ek sufi ka mazar uDta hua
lag chuki hai sabz dariyaon mein aag
bhap ban kar aabshaar uDta hua
mutmain diwar par hai chhipkali
KHud hi aaega shikar uDta hua
us ne aa kar hath mathe par rakha
aur minton mein buKHar uDta hua
- Book : Jahaan Gard (Pg. 124)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.