zard phulon mein basa KHwab mein rahne wala
zard phūloñ meñ basā ḳhvāb meñ rahne vaalā
dhund meñ uljhā rahā niiñd meñ chalne vaalā
dhuup ke shahr mirī jaañ se lipaT kar ro.e
sard shāmoñ kī taraf maiñ thā nikalne vaalā
kar gayā aap kī dīvār ke saa.e pe yaqīñ
maiñ daraḳhtoñ ke hare des kā rahne vaalā
us ke tālāb kī bataḳheñ bhī kañval bhī ro.e
ret ke mulk meñ hijrat thā jo karne vaalā
zard phulon mein basa KHwab mein rahne wala
dhund mein uljha raha nind mein chalne wala
dhup ke shahr meri jaan se lipaT kar roe
sard shamon ki taraf main tha nikalne wala
kar gaya aap ki diwar ke sae pe yaqin
main daraKHton ke hare des ka rahne wala
us ke talab ki bataKHen bhi kanwal bhi roe
ret ke mulk mein hijrat tha jo karne wala
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.