zard yaadon se bhar diya hai mujhe
zard yādoñ se bhar diyā hai mujhe
kis ne vīrān kar diyā hai mujhe
haft-aflāk sair kī ḳhātir
qaid rahne ko ghar diyā hai mujhe
chakh liyā us ne pyaar thoḌā sā
aur phir zahr kar diyā hai mujhe
itnā ḳhālī nahīñ rakhā us ne
lams bhī ḳhvāb bhar diyā hai mujhe
kaam hī kyā thā chāhne ke sivā
tum ne bekār kar diyā hai mujhe
zard yaadon se bhar diya hai mujhe
kis ne viran kar diya hai mujhe
haft-aflak sair ki KHatir
qaid rahne ko ghar diya hai mujhe
chakh liya us ne pyar thoDa sa
aur phir zahr kar diya hai mujhe
itna KHali nahin rakha us ne
lams bhi KHwab bhar diya hai mujhe
kaam hi kya tha chahne ke siwa
tum ne bekar kar diya hai mujhe
- Book : Aakhiri Ishq Sabse Pahle Kiya (Pg. 92)
- Author : Nomaan Shauque
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.