zardar kabhi chahne wala nahin manga
zardār kabhī chāhne vaalā nahīñ māñgā
raa.ī kī zarūrat pe himāla nahīñ māñgā
aksar mire chūlhe meñ rahā barf kā Derā
lekin kisī rishte se nivālā nahīñ māñgā
bar-vaqt zarūrat na huī puurī kisī se
sūraj se añdhere meñ ujālā nahīñ māñgā
'ġhālib' ke hunar 'mīr' kī fankārī ke sadqe
nāqid se kisī ne bhī havāla nahīñ māñgā
puurī na ho aisī koī ḳhvāhish hī nahīñ kī
manzar koī āñkhoñ ne nirālā nahīñ māñgā
tapte hue sahrā kī 'ziyā' pyaas bujhā.ī
dariyāoñ se paanī kā piyāla nahīñ māñgā
zardar kabhi chahne wala nahin manga
rai ki zarurat pe himala nahin manga
aksar mere chulhe mein raha barf ka Dera
lekin kisi rishte se niwala nahin manga
bar-waqt zarurat na hui puri kisi se
suraj se andhere mein ujala nahin manga
'ghaalib' ke hunar 'mir' ki fankari ke sadqe
naqid se kisi ne bhi hawala nahin manga
puri na ho aisi koi KHwahish hi nahin ki
manzar koi aankhon ne nirala nahin manga
tapte hue sahra ki 'ziya' pyas bujhai
dariyaon se pani ka piyala nahin manga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.