zarf-e-kohna gala diya jae
zarf-e-kohna galā diyā jaa.e
ruup us ko nayā diyā jaa.e
apnī agnī meñ vo jale na mazīd
shams ko ye batā diyā jaa.e
pūchhnā kyā hai būḌhe ambar se
us ke yad meñ asā diyā jaa.e
apnī apnī hudūd hī meñ raheñ
bahr-o-bar ko batā diyā jaa.e
in se phūloñ ko īrkhā hogī
titliyoñ ko uḌā diyā jaa.e
suunā suunā hai jo bhī sahn vahāñ
peḌ tan kā lagā diyā jaa.e
mahvashoñ kī jo fasl lenī hai
arz par mah ugā diyā jaa.e
arz ke vāste ye achchhā hai
beach meñ nabh haTā diyā jaa.e
sub.h ho jab to māhtāb ko kyā
lorī de kar sulā diyā jaa.e
in ko lamhoñ meñ bāñTanā hai abhī
sā.atoñ ko baḌhā diyā jaa.e
zindagī hai agar sarāb 'figār'
jag ko sahrā banā diyā jaa.e
zarf-e-kohna gala diya jae
rup us ko naya diya jae
apni agni mein wo jale na mazid
shams ko ye bata diya jae
puchhna kya hai buDhe ambar se
us ke yad mein asa diya jae
apni apni hudud hi mein rahen
bahr-o-bar ko bata diya jae
in se phulon ko irkha hogi
titliyon ko uDa diya jae
suna suna hai jo bhi sahn wahan
peD tan ka laga diya jae
mahwashon ki jo fasl leni hai
arz par mah uga diya jae
arz ke waste ye achchha hai
beach mein nabh haTa diya jae
subh ho jab to mahtab ko kya
lori de kar sula diya jae
in ko lamhon mein banTana hai abhi
saaton ko baDha diya jae
zindagi hai agar sarab 'figar'
jag ko sahra bana diya jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.