zarur bhul hui hai kahin sunane mein
zarūr bhuul huī hai kahīñ sunāne meñ
ye vāqi'a to kahīñ bhī na thā fasāne meñ
mire liye hī huā ehtimām-e-jashn magar
jagah na mil sakī mujh ko hī shāmiyāne meñ
farefta hai har ik shaḳhs apnī sūrat par
maiñ aa gayā huuñ ye kaise fareb-ḳhāne meñ
añdhere aur ghane had se bhī ghane hoñge
vo chuuk ab ke huī hai diyā jalāne meñ
baḌe gharoñ meñ rahī hai bahut zamāne tak
ḳhushī kā jī nahīñ lagtā ġharīb-ḳhāne meñ
zarur bhul hui hai kahin sunane mein
ye waqi'a to kahin bhi na tha fasane mein
mere liye hi hua ehtimam-e-jashn magar
jagah na mil saki mujh ko hi shamiyane mein
farefta hai har ek shaKHs apni surat par
main aa gaya hun ye kaise fareb-KHane mein
andhere aur ghane had se bhi ghane honge
wo chuk ab ke hui hai diya jalane mein
baDe gharon mein rahi hai bahut zamane tak
KHushi ka ji nahin lagta gharib-KHane mein
- Book : Aakhiri Ishq Sabse Pahle Kiya (Pg. 127)
- Author :Nomaan Shauque
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.