zarur chashm-e-tamasha chaman pe naz kare
zarūr chashm-e-tamāshā chaman pe naaz kare
magar bahār-o-ḳhizāñ meñ to imtiyāz kare
mirī hayāt kā maqsad hai sirf lazzat-e-ġham
koī ye silsila-e-ġham zarā darāz kare
junūñ ke daur meñ ho jis ko shauq-e-gul-chīnī
chaman meñ kaise vo kāñToñ se ehtirāz kare
yahī hai ḳhāliq-e-jazbāt kā karam shāyad
tumheñ ḳhushī se hameñ ġham se sarfarāz kare
na kījiye kisī gustāḳhī-e-junūñ kā malāl
kise hai hosh ki farq-e-niyāz-o-nāz kare
rah-e-vafā meñ tamannā-e-iltifāt hai kufr
jo jī meñ aa.e vo husn-e-karishma-sāz kare
jabīn-e-shauq to rakh dī hai maiñ ne dar pe tire
ye terā kaam hai bāb-e-karam bhī baaz kare
sunā hai rāz-e-haqīqat usī hijāb meñ hai
jo dīda-var ho vahī azmat-e-majāz kare
vo koī dil nahīñ patthar hai asl meñ 'ashraf'
jo aadmī ko mohabbat se be-niyāz kare
zarur chashm-e-tamasha chaman pe naz kare
magar bahaar-o-KHizan mein to imtiyaz kare
meri hayat ka maqsad hai sirf lazzat-e-gham
koi ye silsila-e-gham zara daraaz kare
junun ke daur mein ho jis ko shauq-e-gul-chini
chaman mein kaise wo kanTon se ehtiraaz kare
yahi hai KHaliq-e-jazbaat ka karam shayad
tumhein KHushi se hamein gham se sarfaraaz kare
na kijiye kisi gustaKHi-e-junun ka malal
kise hai hosh ki farq-e-niyaz-o-naz kare
rah-e-wafa mein tamanna-e-iltifat hai kufr
jo ji mein aae wo husn-e-karishma-saz kare
jabin-e-shauq to rakh di hai main ne dar pe tere
ye tera kaam hai bab-e-karam bhi baz kare
suna hai raaz-e-haqiqat usi hijab mein hai
jo dida-war ho wahi azmat-e-majaz kare
wo koi dil nahin patthar hai asl mein 'ashraf'
jo aadmi ko mohabbat se be-niyaz kare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.