zarur uski nazar mujh pe hi gaDi hui hai
zarūr us kī nazar mujh pe hī gaḌī huī hai
maiñ jym se aa rahā huuñ āstīñ chaḌhī huī hai
mujhe zarā sā burā kah diyā to is se kyā
vo itnī baat pe maañ baap se laḌī huī hai
use zarūrat-e-parda zarā ziyāda hai
ye vo bhī jāntī hai jab se vo baḌī huī hai
vo merī dī huī nthunī pahan ke ghūmtī hai
tabhī vo in dinoñ kuchh aur nak-chaḌhī huī hai
muāhidoñ meñ lachak bhī zarūrī hotī hai
par is kī suuī vahīñ kī vahīñ aḌī huī hai
vo tie bāñdhtī hai aur khīñch letī hai
ye kaise vaqt use pyaar kī paḌī huī hai
ḳhudā ke vāste likhte raho ki us ne 'amīr'
har ik ġhazal tirī sau sau dafa paḌhī huī hai
zarur us ki nazar mujh pe hi gaDi hui hai
main jym se aa raha hun aastin chaDhi hui hai
mujhe zara sa bura kah diya to is se kya
wo itni baat pe man bap se laDi hui hai
use zarurat-e-parda zara ziyaada hai
ye wo bhi jaanti hai jab se wo baDi hui hai
wo meri di hui nthuni pahan ke ghumti hai
tabhi wo in dinon kuchh aur nak-chaDhi hui hai
muahidon mein lachak bhi zaruri hoti hai
par is ki sui wahin ki wahin aDi hui hai
wo tie bandhti hai aur khinch leti hai
ye kaise waqt use pyar ki paDi hui hai
KHuda ke waste likhte raho ki us ne 'amir'
har ek ghazal teri sau sau dafa paDhi hui hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.