zau-fishan sine mein soz-e-gham-e-pinhan nikla
zau-fishāñ siine meñ soz-e-ġham-e-pinhāñ niklā
dil kā har daaġh charāġh-e-tah-e-dāmāñ niklā
koī bhī jab na anīs-e-shab-e-hijrāñ niklā
dard-e-dil ḳhud hī mire haal kā pursāñ niklā
justujū meñ tirī ai jalva-numā-e-hastī
koī kāfir to koī ban ke musalmāñ niklā
maġhfirat ko hai mire nāma-e-a.amāl pe naaz
jab na mujh sā koī āsūda-e-isyāñ niklā
pūchhtā kyā hai haqīqat mire jazb-e-dil kī
dil ke har qatre meñ simTā huā tūfāñ niklā
kitnā vābasta asīrī se thā daur-e-hastī
mar ke zindāñ se asīr-e-dar-e-zindāñ niklā
maiñ ne jis sang pe sajda kiyā jazb-e-dil se
vo bhī minjumla-e-sang-e-dar-e-jānāñ niklā
is tarah ḳhatm huī jabr-o-qadar kī hujjat
merī taqdīr se sāhil pe bhī tūfāñ niklā
baḳhiya-gar ne mirī jab jāma-darī ko dekhā
chāk-dāman kī jagah chāk-garebāñ niklā
ġham nahīñ sāhil-e-dariyā kī tunuk-zarfī kā
Dūbne vaalā to āsūda-e-tūfāñ niklā
saḳhtī-e-hashr-o-qayāmat mujhe vaa.iz taslīm
aur jo vaañ bhī na javāb-e-ġham-e-jānāñ niklā
rif.at-e-charḳh ho yā ho vo zamīñ kī vus.at
hāmil-e-bār-e-amānat faqat insāñ niklā
ho chukā jāma-e-vahshī kā rafū ai 'afqar'
abhī dāman na siyā thā ki girebāñ niklā
zau-fishan sine mein soz-e-gham-e-pinhan nikla
dil ka har dagh charagh-e-tah-e-daman nikla
koi bhi jab na anis-e-shab-e-hijran nikla
dard-e-dil KHud hi mere haal ka pursan nikla
justuju mein teri ai jalwa-numa-e-hasti
koi kafir to koi ban ke musalman nikla
maghfirat ko hai mere nama-e-amal pe naz
jab na mujh sa koi aasuda-e-isyan nikla
puchhta kya hai haqiqat mere jazb-e-dil ki
dil ke har qatre mein simTa hua tufan nikla
kitna wabasta asiri se tha daur-e-hasti
mar ke zindan se asir-e-dar-e-zindan nikla
main ne jis sang pe sajda kiya jazb-e-dil se
wo bhi minjumla-e-sang-e-dar-e-jaanan nikla
is tarah KHatm hui jabr-o-qadar ki hujjat
meri taqdir se sahil pe bhi tufan nikla
baKHiya-gar ne meri jab jama-dari ko dekha
chaak-daman ki jagah chaak-gareban nikla
gham nahin sahil-e-dariya ki tunuk-zarfi ka
Dubne wala to aasuda-e-tufan nikla
saKHti-e-hashr-o-qayamat mujhe waiz taslim
aur jo wan bhi na jawab-e-gham-e-jaanan nikla
rifat-e-charKH ho ya ho wo zamin ki wusat
hamil-e-bar-e-amanat faqat insan nikla
ho chuka jama-e-wahshi ka rafu ai 'afqar'
abhi daman na siya tha ki gireban nikla
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.