zauq-e-numu ko manzil-e-dost mein aa ke bhul ja
zauq-e-numū ko manzil-e-dost meñ aa ke bhuul jā
is tarah be-niyāz ho sar ko jhukā ke bhuul jā
dāġh-e-firāq ke sivā hāsil-e-ishq kuchh nahīñ
parda-e-jān-o-dil meñ ye sham' jalā ke bhuul jā
us ke harīm-e-nāz tak koī pahuñch sakā kahāñ
rāhguzār-e-shauq kī ḳhaak uḌā ke bhuul jā
halqa-ba-gosh-e-ishq ho phir na zavāl hai na maut
paik-e-qazā pe āḳhirī tiir chalā ke bhuul jā
bazm meñ ai nigāh-e-dost is tarah ahl-e-dil se khel
is ko miTā ke bhuul jā us ko banā ke bhuul jā
aa.e ḳhizāñ meñ jo kabhī yaad tujhe bahār kī
sāġhar-e-chashm-e-tar se do ashk bahā ke bhuul jā
dil bhī ḳharāb-e-ishq hai dil ko bhī de sazā-e-shauq
is ko bhī tuur kī tarah aag lagā ke bhuul jā
hasrat-e-dīd meñ jo hai diid meñ vo maza nahīñ
parda-e-rū-e-dost uTThā aur uTThā ke bhuul jā
tū bhī dayār-e-dost meñ shauq ke zamzame alaap
bād-e-shimāl kī tarah Thokareñ khā ke bhuul jā
satvat-e-qaisarāna ko shaukat-e-ḳhusravāna ko
jām-e-sharāb-e-shq se hoñT milā ke bhuul jā
merī ġhazal meñ hai 'zafar' lutf ba-qadr-e-zarf-e-zauq
tū use gā ke jhuum uTh yā use gā ke bhuul jā
zauq-e-numu ko manzil-e-dost mein aa ke bhul ja
is tarah be-niyaz ho sar ko jhuka ke bhul ja
dagh-e-firaq ke siwa hasil-e-ishq kuchh nahin
parda-e-jaan-o-dil mein ye sham' jala ke bhul ja
us ke harim-e-naz tak koi pahunch saka kahan
rahguzar-e-shauq ki KHak uDa ke bhul ja
halqa-ba-gosh-e-ishq ho phir na zawal hai na maut
paik-e-qaza pe aaKHiri tir chala ke bhul ja
bazm mein ai nigah-e-dost is tarah ahl-e-dil se khel
is ko miTa ke bhul ja us ko bana ke bhul ja
aae KHizan mein jo kabhi yaad tujhe bahaar ki
saghar-e-chashm-e-tar se do ashk baha ke bhul ja
dil bhi KHarab-e-ishq hai dil ko bhi de saza-e-shauq
is ko bhi tur ki tarah aag laga ke bhul ja
hasrat-e-did mein jo hai did mein wo maza nahin
parda-e-ru-e-dost uTTha aur uTTha ke bhul ja
tu bhi dayar-e-dost mein shauq ke zamzame alap
baad-e-shimal ki tarah Thokaren kha ke bhul ja
satwat-e-qaisarana ko shaukat-e-KHusrawana ko
jam-e-sharab-e-shq se honT mila ke bhul ja
meri ghazal mein hai 'zafar' lutf ba-qadr-e-zarf-e-zauq
tu use ga ke jhum uTh ya use ga ke bhul ja
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.