zauq pe shauq pe miT jaane ko tayyar uTha
zauq pe shauq pe miT jaane ko tayyār uThā
ishq kā dard liye phir tirā bīmār uThā
ham ne maiḳhāne meñ jaanī nahīñ karnī tafrīq
jo bhī baiThā mirī mahfil meñ gunahgār uThā
vasl-e-mahbūb uThā rakkheñge kab tak ki phir
aaj farhād hai tesha kā talabgār uThā
gum-shuda lailā ko kab tak vo chhupā rakkheñge
jab ki dīvāne ko saudā-e-ruḳh-e-yār uThā
soz-e-'mānī' kā zamāne meñ hai kis ko ehsās
aaj phir dard mire pahlū meñ bekār uThā
zauq pe shauq pe miT jaane ko tayyar uTha
ishq ka dard liye phir tera bimar uTha
hum ne maiKHane mein jaani nahin karni tafriq
jo bhi baiTha meri mahfil mein gunahgar uTha
wasl-e-mahbub uTha rakkhenge kab tak ki phir
aaj farhad hai tesha ka talabgar uTha
gum-shuda laila ko kab tak wo chhupa rakkhenge
jab ki diwane ko sauda-e-ruKH-e-yar uTha
soz-e-'mani' ka zamane mein hai kis ko ehsas
aaj phir dard mere pahlu mein bekar uTha
- Book : Khama-e-Mani (Pg. 105)
- Author : Sulaiman Ahmad Mani
- Publication : Noor Printing Agency Suiwalan (2016)
- Edition : 2016
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.