zawal-e-husn ko husn-e-nigar kya jaane
zavāl-e-husn ko husn-e-nigār kyā jaane
ḳhizāñ qadam-ba-qadam hai bahār kyā jaane
likhā hai us ke muqaddar meñ iztirāb-e-davām
qarār kyā hai dil-e-be-qarār kyā jaane
nasīb rāhat-e-qurb-e-davām ho jis ko
vo lazzat-e-ḳhalish-e-intizār kyā jaane
samajh rahe haiñ jise sab gunāhgār yahāñ
usī pe ho karam-e-kirdgār kyā jaane
kiye pe apne ho ḳhud munfa.il bashar āḳhir
yahī ho jabr yahī iḳhtiyār kyā jaane
taḌap rahā huuñ maiñ apne gunāh gin gin kar
usī kā naam ho roz-e-shumār kyā jaane
kahāñ ye shām-e-ġharībāñ kahāñ vo sub.h-e-vatan
vo farq-e-gardish-e-lail-o-nihār kyā jaane
jo paañv toḌ ke baiThe sar-e-rah-e-manzil
vo kab uTheñge koī shahsavār kyā jaane
ba-īñ kamāl-e-ḳhirad kyuuñ hai mā.il-e-ilhād
maqām-e-'josh' ko 'mahrūm'-e-zār kyā jaane
zawal-e-husn ko husn-e-nigar kya jaane
KHizan qadam-ba-qadam hai bahaar kya jaane
likha hai us ke muqaddar mein iztirab-e-dawam
qarar kya hai dil-e-be-qarar kya jaane
nasib rahat-e-qurb-e-dawam ho jis ko
wo lazzat-e-KHalish-e-intizar kya jaane
samajh rahe hain jise sab gunahgar yahan
usi pe ho karam-e-kirdgar kya jaane
kiye pe apne ho KHud munfail bashar aaKHir
yahi ho jabr yahi iKHtiyar kya jaane
taDap raha hun main apne gunah gin gin kar
usi ka nam ho roz-e-shumar kya jaane
kahan ye sham-e-ghariban kahan wo subh-e-watan
wo farq-e-gardish-e-lail-o-nihaar kya jaane
jo panw toD ke baiThe sar-e-rah-e-manzil
wo kab uThenge koi shahsawar kya jaane
ba-in kamal-e-KHirad kyun hai mail-e-ilhad
maqam-e-'josh' ko 'mahrum'-e-zar kya jaane
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.