zehn har su nigah karta hai
zehn har sū nigāh kartā hai
dil faqat un kī chaah kartā hai
haq vo rakhtā hai rūThne kā bhī
pyaar jo be-panāh kartā hai
jo kan-añkhiyoñ se dekhtā hai use
bā-salīqa gunāh kartā hai
faqr bhī us kā hai shahanshāhī
dil ko jo ḳhānqāh kartā hai
dil subūt-e-baqā-e-hastī meñ
dhaḌkanoñ ko gavāh kartā hai
qabl-e-manzil charāġh-e-rāhguzar
ḳhauf ko sadd-e-rāh kartā hai
'shauq' taḳhlīq-e-sher kyā jaane
sirf kāġhaz siyāh kartā hai
zehn har su nigah karta hai
dil faqat un ki chah karta hai
haq wo rakhta hai ruThne ka bhi
pyar jo be-panah karta hai
jo kan-ankhiyon se dekhta hai use
ba-saliqa gunah karta hai
faqr bhi us ka hai shahanshahi
dil ko jo KHanqah karta hai
dil subut-e-baqa-e-hasti mein
dhaDkanon ko gawah karta hai
qabl-e-manzil charagh-e-rahguzar
KHauf ko sadd-e-rah karta hai
'shauq' taKHliq-e-sher kya jaane
sirf kaghaz siyah karta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.