zehn mein lagta hai jab KHush-rang lafzon ka hujum
zehn meñ lagtā hai jab ḳhush-rang lafzoñ kā hujūm
dhuñdlā dhuñdlā sā nazar aatā hai logoñ kā hujūm
'umr bhar ke ai thake haare musāfir hoshiyār
manziloñ se pesh-tar hai ik daraḳhtoñ kā hujūm
us kī yādoñ kā samāñ bhī kis qadar pur-kaif hai
jaise gulshan meñ utar aa.e parindoñ kā hujūm
mehrbāñ jab se hue jangal pe sūraj devtā
zard sā lagne lagā sarsabz peḌoñ kā hujūm
sahm jaatā huuñ akelā pā ke apne aap ko
nasb ho dīvār-o-dar meñ jaise āñkhoñ kā hujūm
'ahd-e-māzī kī taraf chāhā hai dil ne lauTnā
dekh kar schōl ke mā'sūm bachchoñ kā hujūm
zehn mein lagta hai jab KHush-rang lafzon ka hujum
dhundla dhundla sa nazar aata hai logon ka hujum
'umr bhar ke ai thake haare musafir hoshiyar
manzilon se pesh-tar hai ek daraKHton ka hujum
us ki yaadon ka saman bhi kis qadar pur-kaif hai
jaise gulshan mein utar aae parindon ka hujum
mehrban jab se hue jangal pe suraj dewta
zard sa lagne laga sarsabz peDon ka hujum
sahm jata hun akela pa ke apne aap ko
nasb ho diwar-o-dar mein jaise aankhon ka hujum
'ahd-e-mazi ki taraf chaha hai dil ne lauTna
dekh kar school ke ma'sum bachchon ka hujum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.