zehn mein mere abhi koi kasak baqi hai
zehn meñ mere abhī koī kasak baaqī hai
tujh se duurī kī taḌap aaj talak baaqī hai
merī āñkhoñ meñ kahīñ terī chamak baaqī hai
merī bāñhoñ meñ tire tan kī lachak baaqī hai
vo bahāroñ kā ho mausam yā ḳhizāñ kī rut ho
pyaar ke baaġh meñ har gul kī mahak baaqī hai
mere kamre meñ paḌī shīshe kī kirchī meñ bhī
dhundlī dhundlī sī kahīñ terī jhalak baaqī hai
jitnī ruḳhsār kī laalī meñ hai baaqī mere
'ishq meñ mere abhī itnī dahak baaqī hai
zehn mein mere abhi koi kasak baqi hai
tujh se duri ki taDap aaj talak baqi hai
meri aankhon mein kahin teri chamak baqi hai
meri banhon mein tere tan ki lachak baqi hai
wo bahaaron ka ho mausam ya KHizan ki rut ho
pyar ke bagh mein har gul ki mahak baqi hai
mere kamre mein paDi shishe ki kirchi mein bhi
dhundli dhundli si kahin teri jhalak baqi hai
jitni ruKHsar ki lali mein hai baqi mere
'ishq mein mere abhi itni dahak baqi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.