zehn-o-KHayal se koi chehra na ja saka
zehn-o-ḳhayāl se koī chehra na jā sakā
aur us ke aage ham se bhī sochā na jā sakā
ik jaan thī jo nazr guzārī na jā sakī
ik qarz thā jo ham se utārā na jā sakā
ham ne hazār jashn sahar ke manā liye
aur bām-o-dar se raat kā saaya na jā sakā
kitne tabāh hoñge ham ik shaḳhs ke liye
ḳhud se kabhī savāl ye pūchhā na jā sakā
kuchh pal ko ho gayā thā maiñ bhaḌkā huā charāġh
kuchh der āñdhiyoñ se bhī sambhlā na jā sakā
bas ik laraztā haath mire hoñT sī gayā
aur phir tamām zindagī bolā na jā sakā
ham us ko saarī umr uThā.e phirā kiye
jo baar 'mīr' se bhī uThāyā na jā sakā
'tāriq' ye dil bhī hai ḳhat-e-taqdīr kī tarah
ham ḳhud badal ga.e ise badlā na jā sakā
zehn-o-KHayal se koi chehra na ja saka
aur us ke aage hum se bhi socha na ja saka
ek jaan thi jo nazr guzari na ja saki
ek qarz tha jo hum se utara na ja saka
hum ne hazar jashn sahar ke mana liye
aur baam-o-dar se raat ka saya na ja saka
kitne tabah honge hum ek shaKHs ke liye
KHud se kabhi sawal ye puchha na ja saka
kuchh pal ko ho gaya tha main bhaDka hua charagh
kuchh der aandhiyon se bhi sambhla na ja saka
bas ek larazta hath mere honT si gaya
aur phir tamam zindagi bola na ja saka
hum us ko sari umr uThae phira kiye
jo bar 'mir' se bhi uThaya na ja saka
'tariq' ye dil bhi hai KHat-e-taqdir ki tarah
hum KHud badal gae ise badla na ja saka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.