zer-e-baam gumbad-e-KHazra azan
zer-e-bām gumbad-e-ḳhazrā azaañ
vo bilālī saut vo sāme.a kahāñ
khojtā hai an-ginat masjūd meñ
qul-ho-allāho-ahad kā sā.ebāñ
but-tarāshī chār-sū hai jalva-gar
de ga.ī sab kī jabīnoñ ko nishāñ
yāsiyat ne karb ke dar vā kiye
ḳhushk ummīdoñ kā gulshan hai yahāñ
to rahīn-e-ḳhāna-hā-e-iztirāb
uTh rahā hai tere chilman se dhuāñ
zulmateñ sāya-fagan haiñ har taraf
bām-o-dar par raqs meñ nau-mīdiyāñ
ruk zarā paḌh kalma-e-lā-taqnatū
ḳhud-baḳhud rauzan khuleñge darmiyāñ
hausloñ ke phir se ug ā.eñge par
azm-e-mohkam ko banā le sā.ebāñ
zer-e-baam gumbad-e-KHazra azan
wo bilali saut wo samea kahan
khojta hai an-ginat masjud mein
qul-ho-allaho-ahad ka saeban
but-tarashi chaar-su hai jalwa-gar
de gai sab ki jabinon ko nishan
yasiyat ne karb ke dar wa kiye
KHushk ummidon ka gulshan hai yahan
to rahin-e-KHana-ha-e-iztirab
uTh raha hai tere chilman se dhuan
zulmaten saya-fagan hain har taraf
baam-o-dar par raqs mein nau-midiyan
ruk zara paDh kalma-e-la-taqnatu
KHud-baKHud rauzan khulenge darmiyan
hauslon ke phir se ug aaenge par
azm-e-mohkam ko bana le saeban
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.