zer-e-lab un ka muskura dena
zer-e-lab un kā muskurā denā
dil meñ shahnā.iyāñ bajā denā
jaane vaale ye baat yaad rahe
ham ko āsāñ nahīñ bhulā denā
kahīñ be-āsrā na kar de hameñ
is qadar terā aasrā denā
ham ko rone kī to ijāzat do
agar aatā nahīñ hañsā denā
ho ke nākām nā-umīd na hoñ
tū mujhe itnā hausla denā
laakh 'hātim' ho koī laakh karan
kaun de saktā hai tirā denā
sau bahāroñ kī hai bahār 'jigar'
un kā rah rah ke muskurā denā
zer-e-lab un ka muskura dena
dil mein shahnaiyan baja dena
jaane wale ye baat yaad rahe
hum ko aasan nahin bhula dena
kahin be-asra na kar de hamein
is qadar tera aasra dena
hum ko rone ki to ijazat do
agar aata nahin hansa dena
ho ke nakaam na-umid na hon
tu mujhe itna hausla dena
lakh 'hatim' ho koi lakh karan
kaun de sakta hai tera dena
sau bahaaron ki hai bahaar 'jigar'
un ka rah rah ke muskura dena
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.