zid hai unhen pura mera arman na karenge
zid hai unheñ puurā mirā armāñ na kareñge
muñh se jo nahīñ niklī hai ab haañ na kareñge
kyuuñ zulf kā bosa mujhe lene nahīñ dete
kahte haiñ ki vallāh pareshāñ na kareñge
hai zehan meñ ik baat tumhāre muta.alliq
ḳhalvat meñ jo pūchhoge to pinhāñ na kareñge
vaa.iz to banāte haiñ musalmān ko kāfir
afsos ye kāfir ko musalmāñ na kareñge
kyuuñ shukr-guzārī kā mujhe shauq hai itnā
suntā huuñ vo mujh par koī ehsāñ na kareñge
dīvāna na samjhe hameñ vo samjhe sharābī
ab chaak kabhī jeb o garebāñ na kareñge
vo jānte haiñ ġhair mire ghar meñ hai mehmāñ
ā.eñge to mujh par koī ehsāñ na kareñge
zid hai unhen pura mera arman na karenge
munh se jo nahin nikli hai ab han na karenge
kyun zulf ka bosa mujhe lene nahin dete
kahte hain ki wallah pareshan na karenge
hai zehan mein ek baat tumhaare mutalliq
KHalwat mein jo puchhoge to pinhan na karenge
waiz to banate hain musalman ko kafir
afsos ye kafir ko musalman na karenge
kyun shukr-guzari ka mujhe shauq hai itna
sunta hun wo mujh par koi ehsan na karenge
diwana na samjhe hamein wo samjhe sharabi
ab chaak kabhi jeb o gareban na karenge
wo jaante hain ghair mere ghar mein hai mehman
aaenge to mujh par koi ehsan na karenge
- Book : kulliyat-e-akbar allahabadi (Pg. 78)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.