zihanaton ko kahan karb se farar mila
zihānatoñ ko kahāñ karb se farār milā
jise nigāh milī us ko intizār milā
vo koī raah kā patthar ho yā hasīñ manzar
jahāñ bhī rāsta Thahrā vahīñ mazār milā
koī pukār rahā thā khulī fazāoñ se
nazar uThā.ī to chāroñ taraf hisār milā
har ek saañs na jaane thī justujū kis kī
har ik dayār musāfir ko be-dayār milā
ye shahr hai ki numā.ish lagī huī hai koī
jo aadmī bhī milā ban ke ishtihār milā
zihanaton ko kahan karb se farar mila
jise nigah mili us ko intizar mila
wo koi rah ka patthar ho ya hasin manzar
jahan bhi rasta Thahra wahin mazar mila
koi pukar raha tha khuli fazaon se
nazar uThai to chaaron taraf hisar mila
har ek sans na jaane thi justuju kis ki
har ek dayar musafir ko be-dayar mila
ye shahr hai ki numaish lagi hui hai koi
jo aadmi bhi mila ban ke ishtihaar mila
- Book : Shaher Men Gaon (Pg. 309)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.