zist ka ek gunah kar sake na hum
ziist kā ik gunāh kar sake na ham
saañs ke vāste bhī mar sake na ham
jaane kis vahm ne qadam pakaḌ liye
us kī dhund se guzar sake na ham
shahr kī vo galī sukūt pā ga.ī
chaar chhe din se jo guzar sake na ham
gunjalak ḳhvāb kā ma.aal dekhte
niiñd ke ġhaar meñ utar sake na ham
us taraf bhī kushāda haath the 'ḳhumār'
dasht meñ jis taraf bikhar sake na ham
zist ka ek gunah kar sake na hum
sans ke waste bhi mar sake na hum
jaane kis wahm ne qadam pakaD liye
us ki dhund se guzar sake na hum
shahr ki wo gali sukut pa gai
chaar chhe din se jo guzar sake na hum
gunjalak KHwab ka maal dekhte
nind ke ghaar mein utar sake na hum
us taraf bhi kushada hath the 'KHumar'
dasht mein jis taraf bikhar sake na hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.