zist kab iKHtitam tak pahunchi
ziist kab iḳhtitām tak pahuñchī
sirf miTTī maqām tak pahuñchī
zinda rahne ko thā halāl bahut
phir bhī duniyā harām tak pahuñchī
sar-kashī ke nasīb meñ patthar
bandagī faiz-e-ām tak pahuñchī
mas.ala sirf kursiyoñ kā thā
baat bābar se raam tak pahuñchī
kaam aatī thī mushkiloñ meñ kabhī
dostī ab salām tak pahuñchī
parda uThte hī ghar kī zīnat bhī
kaise kaise maqām tak pahuñchī
mai-kada to khulā rahā 'dānish'
tishnagī ḳhud na jaam tak pahuñchī
zist kab iKHtitam tak pahunchi
sirf miTTi maqam tak pahunchi
zinda rahne ko tha halal bahut
phir bhi duniya haram tak pahunchi
sar-kashi ke nasib mein patthar
bandagi faiz-e-am tak pahunchi
masala sirf kursiyon ka tha
baat babar se ram tak pahunchi
kaam aati thi mushkilon mein kabhi
dosti ab salam tak pahunchi
parda uThte hi ghar ki zinat bhi
kaise kaise maqam tak pahunchi
mai-kada to khula raha 'danish'
tishnagi KHud na jam tak pahunchi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.