zist kaise hasin ho jae
ziist kaise hasīn ho jaa.e
aadmī jab machine ho jaa.e
mutma.in haiñ ḳhulūs se ham to
aap ko bas yaqīn ho jaa.e
ḳhvāhish-e-nafs hai yahī har dam
saath ik nāznīn ho jaa.e
log haiñ be-shumār jab dil meñ
kaise mālik makīn ho jaa.e
ishq nādāñ kā jab huā kāmil
phir koī kyoñ zahīn ho jaa.e
bhar gayā zindagī se dil ab to
maut shāyad muiin ho jaa.e
janm hogā ki maġhfirat hogī
faisla ab mubīn ho jaa.e
koī 'tanhā' ġhazal sunā.e to
ruuh tāza-tarīn ho jaa.e
zist kaise hasin ho jae
aadmi jab machine ho jae
mutmain hain KHulus se hum to
aap ko bas yaqin ho jae
KHwahish-e-nafs hai yahi har dam
sath ek naznin ho jae
log hain be-shumar jab dil mein
kaise malik makin ho jae
ishq nadan ka jab hua kaamil
phir koi kyon zahin ho jae
bhar gaya zindagi se dil ab to
maut shayad muin ho jae
janm hoga ki maghfirat hogi
faisla ab mubin ho jae
koi 'tanha' ghazal sunae to
ruh taza-tarin ho jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.