zist ke bhed kholta hai kaun
ziist ke bhed kholtā hai kaun
mere andar ye boltā hai kaun
mere sheroñ meñ mere lafzoñ ko
motiyoñ sā ye roltā hai kaun
mere sheroñ meñ merī ġhazloñ meñ
apne asrār kholtā hai kaun
talḳh lamhoñ meñ lab se shīrīnī
mere kānoñ meñ gholtā hai kaun
chhīn lī kis ne merī tanhā.ī
merī rātoñ meñ Doltā hai kaun
kund ho jaatā hāfiza merā
us ko har pal TaToltā hai kaun
sher mere nahīñ haiñ ye 'hairat'
ḳhud samajh lo ye boltā hai kaun
zist ke bhed kholta hai kaun
mere andar ye bolta hai kaun
mere sheron mein mere lafzon ko
motiyon sa ye rolta hai kaun
mere sheron mein meri ghazlon mein
apne asrar kholta hai kaun
talKH lamhon mein lab se shirini
mere kanon mein gholta hai kaun
chhin li kis ne meri tanhai
meri raaton mein Dolta hai kaun
kund ho jata hafiza mera
us ko har pal TaTolta hai kaun
sher mere nahin hain ye 'hairat'
KHud samajh lo ye bolta hai kaun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.