zist ki talKHiyan maaz-allah
ziist kī talḳhiyāñ ma.āz-allāh
ishq kī garmiyāñ ma.āz-allāh
ham ne sab kuchh luTāyā ulfat meñ
fikr-e-sūd-o-ziyāñ ma.āz-allāh
yūrish-e-ġham se rah ga.iiñ dab kar
dil kī sarmastiyāñ ma.āz-allāh
dostī aur rabt hai ġham se
apnī dilchaspiyāñ ma.āz-allāh
huī ta.amīr bā.is-e-taḳhrīb
bas ga.iiñ bastiyāñ ma.āz-allāh
zist ki talKHiyan maaz-allah
ishq ki garmiyan maaz-allah
hum ne sab kuchh luTaya ulfat mein
fikr-e-sud-o-ziyan maaz-allah
yurish-e-gham se rah gain dab kar
dil ki sarmastiyan maaz-allah
dosti aur rabt hai gham se
apni dilchaspiyan maaz-allah
hui tamir bais-e-taKHrib
bas gain bastiyan maaz-allah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.