zist meri azab ho jaise
ziist merī azaab ho jaise
maut dilkash gulāb ho jaise
misl-e-aurāq haiñ sabhī insāñ
aur duniyā kitāb ho jaise
shauq se khā rahe haiñ sab haivāñ
ek murda kabāb ho jaise
aañkh dhartī kī surḳh hone lagī
nūr-e-anjum sharāb ho jaise
kab se sho.aloñ pe so rahā thā magar
ab bhī vo nīm-ḳhvāb ho jaise
pankhuḌī phuul kī hai pazhmurda
baad zer-e-itāb ho jaise
mil nahīñ saktī tum ko sairābī
abr 'qudsī' sarāb ho jaise
zist meri azab ho jaise
maut dilkash gulab ho jaise
misl-e-auraq hain sabhi insan
aur duniya kitab ho jaise
shauq se kha rahe hain sab haiwan
ek murda kabab ho jaise
aankh dharti ki surKH hone lagi
nur-e-anjum sharab ho jaise
kab se shoalon pe so raha tha magar
ab bhi wo nim-KHwab ho jaise
pankhuDi phul ki hai pazhmurda
baad zer-e-itab ho jaise
mil nahin sakti tum ko sairabi
abr 'qudsi' sarab ho jaise
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.