zist unwan tere hone ka
ziist unvān tere hone kā
dil ko īmān tere hone kā
mujh ko har samt le ke jaatā hai
ek imkān tere hone kā
aa gayā vaqt mere ba.ad āḳhir
ab pareshān tere hone kā
aañkh manzar banātī rahtī hai
ya.anī sāmān tere hone kā
merā honā bhī ek pahlū hai
haañ mirī jaan tere hone kā
zist unwan tere hone ka
dil ko iman tere hone ka
mujh ko har samt le ke jata hai
ek imkan tere hone ka
aa gaya waqt mere baad aaKHir
ab pareshan tere hone ka
aankh manzar banati rahti hai
yani saman tere hone ka
mera hona bhi ek pahlu hai
han meri jaan tere hone ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.