zikr-e-dushman hai nagawar kise
zikr-e-dushman hai nāgavār kise
tum sunāte ho baar baar kise
maañg luuñ umr ḳhizr se lekin
tere va.ade kā e'tibār kise
haa.e be-chain kar diyā dam-e-ḳhvāb
tū ne ai āh-e-sho.ala-bār kise
gāliyāñ de rahe haiñ hoñToñ meñ
is adā par na aa.e pyaar kise
hai 'nasīm' ek sañg-dil vo but
dil ko detā hai mere yaar kise
zikr-e-dushman hai nagawar kise
tum sunate ho bar bar kise
mang lun umr KHizr se lekin
tere wade ka e'tibar kise
hae be-chain kar diya dam-e-KHwab
tu ne ai aah-e-shoala-bar kise
galiyan de rahe hain honTon mein
is ada par na aae pyar kise
hai 'nasim' ek sang-dil wo but
dil ko deta hai mere yar kise
- Book : Intekhab-e-Sukhan(Jild-2) (Pg. 154)
- Author : Hasrat Mohani
- Publication : uttar pradesh urdu academy (1983)
- Edition : 1983
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.