zikr-e-tahrim-e-haram ya jam-e-sahba kuchh to ho
zikr-e-tahrīm-e-haram yā jām-e-sahbā kuchh to ho
ruuh kī sho.ala-mizājī kā mudāvā kuchh to ho
dāġh-e-dil zaḳhm-e-nazar soz-e-jigar fikr-e-hayāt
ham tahī-dāman sahī nazr-e-tamannā kuchh to ho
rahguzar vīrān hai har hādisa ḳhāmosh hai
ai dil-e-īzā-talab bahr-e-tamāsha kuchh to ho
zindagī phir apne mustaqbil se ġhāfil kyoñ huī
sāġhar-e-imroz meñ sahbā-e-fardā kuchh to ho
ham kisī ehsās se ḳhāmosh haiñ un ke huzūr
vo ba-zid haiñ ham se tashrīh-e-tamannā kuchh to ho
be-talab kaise mile kyūñ-kar mile husn-e-talab
zindagī ke hoñT par āḳhir taqāzā kuchh to ho
kis qadar māyūs hai merā junūn-e-be-karāñ
'baḳht' āḳhir vus.at-e-dāmān-e-sahrā kuchh to ho
zikr-e-tahrim-e-haram ya jam-e-sahba kuchh to ho
ruh ki shoala-mizaji ka mudawa kuchh to ho
dagh-e-dil zaKHm-e-nazar soz-e-jigar fikr-e-hayat
hum tahi-daman sahi nazr-e-tamanna kuchh to ho
rahguzar viran hai har hadisa KHamosh hai
ai dil-e-iza-talab bahr-e-tamasha kuchh to ho
zindagi phir apne mustaqbil se ghafil kyon hui
saghar-e-imroz mein sahba-e-farda kuchh to ho
hum kisi ehsas se KHamosh hain un ke huzur
wo ba-zid hain hum se tashrih-e-tamanna kuchh to ho
be-talab kaise mile kyun-kar mile husn-e-talab
zindagi ke honT par aaKHir taqaza kuchh to ho
kis qadar mayus hai mera junun-e-be-karan
'baKHt' aaKHir wusat-e-daman-e-sahra kuchh to ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.