zikr ghairon se tumhaara nahin hoga mujhse
zikr ġhairoñ se tumhārā nahīñ hogā mujh se
ye ta.āruf bhī gavāra nahīñ hogā mujh se
mere maulā mirī āñkhoñ meñ samundar de de
chaar būñdoñ pe guzāra nahīñ hogā mujh se
dauḌtā hai merī rag rag meñ mohabbat kā lahū
dushmanoñ se bhī kināra nahīñ hogā mujh se
mere iḳhlās kī yārab tū sazā mat denā
ye hasīñ jurm dobāra nahīñ hogā mujh se
jo haqīqat meñ mirā dushman-e-jāñ hai 'ishrat'
hijr us kā bhī gavāra nahīñ hogā mujh se
zikr ghairon se tumhaara nahin hoga mujh se
ye taaruf bhi gawara nahin hoga mujh se
mere maula meri aankhon mein samundar de de
chaar bundon pe guzara nahin hoga mujh se
dauDta hai meri rag rag mein mohabbat ka lahu
dushmanon se bhi kinara nahin hoga mujh se
mere iKHlas ki yarab tu saza mat dena
ye hasin jurm dobara nahin hoga mujh se
jo haqiqat mein mera dushman-e-jaan hai 'ishrat'
hijr us ka bhi gawara nahin hoga mujh se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.