zikr hota hai jahan bhi mere afsane ka
zikr hotā hai jahāñ bhī mire afsāne kā
ek darvāza sā khultā hai kutub-ḳhāne kā
ek sannāTā dabe-pāñv gayā ho jaise
dil se ik ḳhauf sā guzrā hai bichhaḌ jaane kā
bulbula phir se chalā paanī meñ ġhote khāne
na samajhne kā use vaqt na samjhāne kā
maiñ ne alfāz to bījoñ kī tarah chhāñT diye
aisā mīThā tirā andāz thā farmāne kā
kis ko roke koī raste meñ kahāñ baat kare
na to aane kī ḳhabar hai na patā jaane kā
zikr hota hai jahan bhi mere afsane ka
ek darwaza sa khulta hai kutub-KHane ka
ek sannaTa dabe-panw gaya ho jaise
dil se ek KHauf sa guzra hai bichhaD jaane ka
bulbula phir se chala pani mein ghote khane
na samajhne ka use waqt na samjhane ka
main ne alfaz to bijon ki tarah chhanT diye
aisa miTha tera andaz tha farmane ka
kis ko roke koi raste mein kahan baat kare
na to aane ki KHabar hai na pata jaane ka
- Book : Chand Pukhraj Ka (Pg. 190)
- Author : Gulzar
- Publication : Roopa And Company (1995)
- Edition : 1995
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.