zikr ta fikr nazar tak mahdud
zikr tā fikr nazar tak mahdūd
justujū saarī ḳhabar tak mahdūd
kar diyā ham ne hī nādānī meñ
mo.ajiza shaqq-e-qamar tak mahdūd
kyā bujhā pā.egī namrūd kī aag
vo ibādat jo hai Dar tak mahdūd
kuchh nahīñ zaat ke nauhe ke sivā
is adab meñ jo hai shar tak mahdūd
shaiḳh kī saarī kamā.ī afsos
rah ga.ī la.al-o-gohar tak mahdūd
aaj bhī haiñ mire qadmoñ ke nishāñ
bas tirī rāhguzar tak mahdūd
ishq meñ koī bhī saudā 'āsim'
ham ne kab rakkhā hai sar tak mahdūd
zikr ta fikr nazar tak mahdud
justuju sari KHabar tak mahdud
kar diya hum ne hi nadani mein
moajiza shaqq-e-qamar tak mahdud
kya bujha paegi namrud ki aag
wo ibaadat jo hai Dar tak mahdud
kuchh nahin zat ke nauhe ke siwa
is adab mein jo hai shar tak mahdud
shaiKH ki sari kamai afsos
rah gai lal-o-gohar tak mahdud
aaj bhi hain mere qadmon ke nishan
bas teri rahguzar tak mahdud
ishq mein koi bhi sauda 'asim'
hum ne kab rakkha hai sar tak mahdud
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.