zikr tera karenge phir tujhse
zikr terā kareñge phir tujh se
abhī dekhā nahīñ hai jī bhar ke
pūchh kar raushnī ke khamboñ se
DhūñDte haiñ mujhe galī kūche
mar ga.ī raat merī āñkhoñ meñ
din ke fōtpath par the ḳhvāb paḌe
chāñd kyuuñ āsmāñ se utregā
shāḳh se TuuT jā.eñge patte
raaz kyā hai kisī kī sañgat kā
tum akele nazar nahīñ aate
vo hañsī dil meñ ghanTiyāñ sī haiñ
devtāoñ ne phuul barsā.e
zikr tera karenge phir tujh se
abhi dekha nahin hai ji bhar ke
puchh kar raushni ke khambon se
DhunDte hain mujhe gali kuche
mar gai raat meri aankhon mein
din ke footpath par the KHwab paDe
chand kyun aasman se utrega
shaKH se TuT jaenge patte
raaz kya hai kisi ki sangat ka
tum akele nazar nahin aate
wo hansi dil mein ghanTiyan si hain
dewtaon ne phul barsae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.