zikr us ka nahin kiya maine
zikr us kā nahīñ kiyā maiñ ne
zaḳhm apnā nahīñ chhuā maiñ ne
mujh ko darkār zindagī kab thī
zindagī ko magar jiyā maiñ ne
tum na karnā kisī pe aisā kabhī
jaisā tum par yaqīñ kiyā maiñ ne
faisla jo aham ziyāda thā
soch kar vo nahīñ kiyā maiñ ne
'ishq kā khel aise khelā hai
jaise khelā ho ik juā maiñ ne
har dafa maiñ savāl kartī thī
ab ki bas faisla kiyā maiñ ne
jo ḳhatā kī nahīñ thī us kā bhī
sar pe ilzām le liyā maiñ ne
zikr us ka nahin kiya main ne
zaKHm apna nahin chhua main ne
mujh ko darkar zindagi kab thi
zindagi ko magar jiya main ne
tum na karna kisi pe aisa kabhi
jaisa tum par yaqin kiya main ne
faisla jo aham ziyaada tha
soch kar wo nahin kiya main ne
'ishq ka khel aise khela hai
jaise khela ho ek jua main ne
har dafa main sawal karti thi
ab ki bas faisla kiya main ne
jo KHata ki nahin thi us ka bhi
sar pe ilzam le liya main ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.