zinda aankhon mein be-hisi raushan
zinda āñkhoñ meñ be-hisī raushan
murda chehroñ pe tāzgī raushan
in nasīboñ pe roz ho mātam
un kī mahfil meñ raushnī raushan
ḳhud meñ us ko bujhā diyā maiñ ne
phir huā mujh meñ aur bhī raushan
bevafā thā magar bichhaḌne par
us kī āñkhoñ meñ thī namī raushan
ādatan sab se baat kartī huuñ
us kī rahtī magar kamī raushan
us ke chehre se chhan ke aatī hai
tab hī lagtī hai chāñdnī raushan
yuuñ hī raushan raheñ vo sab chehre
jin ke dam se hai zindagī raushan
zinda aankhon mein be-hisi raushan
murda chehron pe tazgi raushan
in nasibon pe roz ho matam
un ki mahfil mein raushni raushan
KHud mein us ko bujha diya main ne
phir hua mujh mein aur bhi raushan
bewafa tha magar bichhaDne par
us ki aankhon mein thi nami raushan
aadatan sab se baat karti hun
us ki rahti magar kami raushan
us ke chehre se chhan ke aati hai
tab hi lagti hai chandni raushan
yun hi raushan rahen wo sab chehre
jin ke dam se hai zindagi raushan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.