zinda hain magar zindagi aasan nahin hai
zinda haiñ magar zindagī āsān nahīñ hai
ham ko koī ḳhvāhish koī armān nahīñ hai
ik ham ki jo likhte haiñ tire naam pe ġhazleñ
ik tū ki jise sher kī pahchān nahīñ hai
andar ke sab ahvāl kā allāh hī hai hāfiz
bāhar se koī chaak garebān nahīñ hai
jannat kī koī huur hai yā nūr-e-ḳhudā hai
vo husn magar paikar-e-insān nahīñ hai
mumkin hai ki aage ho use mujh se mohabbat
filhāl to aisā koī imkān nahīñ hai
qur.ān to paḌhte haiñ ka.ī log yahāñ 'hijr'
har shaḳhs magar sāhib-e-qur.ān nahīñ hai
zinda hain magar zindagi aasan nahin hai
hum ko koi KHwahish koi arman nahin hai
ek hum ki jo likhte hain tere nam pe ghazlen
ek tu ki jise sher ki pahchan nahin hai
andar ke sab ahwal ka allah hi hai hafiz
bahar se koi chaak gareban nahin hai
jannat ki koi hur hai ya nur-e-KHuda hai
wo husn magar paikar-e-insan nahin hai
mumkin hai ki aage ho use mujh se mohabbat
filhaal to aisa koi imkan nahin hai
quran to paDhte hain kai log yahan 'hijr'
har shaKHs magar sahib-e-quran nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.