zinda hon is jahan mein aaKHir koi jawaz
zinda hon is jahan mein aaKHir koi jawaz
Rasheed Kausar Farooquee
MORE BYRasheed Kausar Farooquee
zinda hoñ is jahān meñ āḳhir koī javāz
in bastiyoñ kā ḳhvāb jo ab tak basīñ nahīñ
tum shoḳh ho to pyaar bhī merā sharīr hai
haañ haañ mire liye hai tumhārī nahīñ nahīñ
dil ho ki sar yahāñ to sarāpā-e-dard haiñ
aisā nahīñ ki dard kahīñ hai kahīñ nahīñ
elān-e-haq-shi.ār bhī hai phir gila bhī hai
nafrīn har kahīñ hai kahīñ āfrīñ nahīñ
kī umr ne vafā to inhoñ ne vafā na kī
dil meñ jo ārzūeñ kabhī thiiñ rahīñ nahīñ
paspā.ī pahle hī tirā maqsūm hai agar
tujh ko masāf-e-zīst meñ ye añgbīñ nahīñ
qariyoñ ke satr-posh junūñ ko salām-e-shauq
dāman nahīñ hai jeb nahīñ āstīñ nahīñ
in dostāñ meñ mashk-faroshāñ meñ mast huuñ
ḳhalvat meñ aa ke bhī jo mire aib-chīñ nahīñ
zinda hon is jahan mein aaKHir koi jawaz
in bastiyon ka KHwab jo ab tak basin nahin
tum shoKH ho to pyar bhi mera sharir hai
han han mere liye hai tumhaari nahin nahin
dil ho ki sar yahan to sarapa-e-dard hain
aisa nahin ki dard kahin hai kahin nahin
elan-e-haq-shiar bhi hai phir gila bhi hai
nafrin har kahin hai kahin aafrin nahin
ki umr ne wafa to inhon ne wafa na ki
dil mein jo aarzuen kabhi thin rahin nahin
paspai pahle hi tera maqsum hai agar
tujh ko masaf-e-zist mein ye angbin nahin
qariyon ke satr-posh junun ko salam-e-shauq
daman nahin hai jeb nahin aastin nahin
in dostan mein mashk-faroshan mein mast hun
KHalwat mein aa ke bhi jo mere aib-chin nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.