zinda rahne ki ye tarkib nikali maine
zinda rahne kī ye tarkīb nikālī maiñ ne
apne hone kī ḳhabar sab se chhupā lī maiñ ne
jab zamīñ ret kī mānind saraktī paa.ī
āsmāñ thaam liyā jaan bachā lī maiñ ne
apne sūraj kī tamāzat kā bharam rakhne ko
narm chhāñv meñ kaḌī dhuup milā lī maiñ ne
marhala koī judā.ī kā jo darpesh huā
to tabassum kī ridā ġham ko oḌhā lī maiñ ne
ek lamhe ko tirī samt se uTThā bādal
aur bārish kī sī ummīd lagā lī maiñ ne
ba.ad muddat mujhe niiñd aa.ī baḌe chain kī niiñd
ḳhaak jab oḌh lī jab ḳhaak bichhā lī maiñ ne
jo 'alīnā' ne sar-e-arsh duā bhejī thī
us kī tāsīr yahīñ farsh pe pā lī maiñ ne
zinda rahne ki ye tarkib nikali main ne
apne hone ki KHabar sab se chhupa li main ne
jab zamin ret ki manind sarakti pai
aasman tham liya jaan bacha li main ne
apne suraj ki tamazat ka bharam rakhne ko
narm chhanw mein kaDi dhup mila li main ne
marhala koi judai ka jo darpesh hua
to tabassum ki rida gham ko oDha li main ne
ek lamhe ko teri samt se uTTha baadal
aur barish ki si ummid laga li main ne
baad muddat mujhe nind aai baDe chain ki nind
KHak jab oDh li jab KHak bichha li main ne
jo 'alina' ne sar-e-arsh dua bheji thi
us ki tasir yahin farsh pe pa li main ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.