zinda wo apne sath ke bimar bhi nahin
zinda vo apne saath ke bīmār bhī nahīñ
marte raho ki ab koī ġham-ḳhvār bhī nahīñ
aksar ḳhayāl-e-zulf se TuuTā sukūt-e-shab
zanjīr ab nahīñ hai to jhankār bhī nahīñ
hamsā.egī pe us kī bahut naaz hai hameñ
dīvār se lagī huī dīvār bhī nahīñ
dāman kā chaak chāk-e-garebāñ se jā mile
ab āshiqī kā ye koī meyār bhī nahīñ
āñkhoñ meñ aa gayā hai lahū ho ke apnā dil
us kī taraf se vāda-e-dīdār bhī nahīñ
us ke kahe se de mujhe dozaḳh hī ai ḳhudā
a.amāl se to aisā gunahgār bhī nahīñ
zinda wo apne sath ke bimar bhi nahin
marte raho ki ab koi gham-KHwar bhi nahin
aksar KHayal-e-zulf se TuTa sukut-e-shab
zanjir ab nahin hai to jhankar bhi nahin
hamsaegi pe us ki bahut naz hai hamein
diwar se lagi hui diwar bhi nahin
daman ka chaak chaak-e-gareban se ja mile
ab aashiqi ka ye koi meyar bhi nahin
aankhon mein aa gaya hai lahu ho ke apna dil
us ki taraf se wada-e-didar bhi nahin
us ke kahe se de mujhe dozaKH hi ai KHuda
aamal se to aisa gunahgar bhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.