zindan-e-roz-o-shab mein asir-e-hayat hun
zindān-e-roz-o-shab meñ asīr-e-hayāt huuñ
ik umr kaT ga.ī hai magar be-sabāt huuñ
dekho to ek zarra huuñ is kā.enāt kā
samjho to apnī zaat meñ ik kā.enāt huuñ
tū māvarā-e-arsh-o-zamīn-o-zamān hai
maiñ tere izn-e-kun se sar-e-shash-jihāt huuñ
haiñ ka.aba-e-darūñ meñ butān-e-havā-e-nafs
har chand ki maiñ munkir-e-lāt-o-manāt huuñ
chaltī havā ke saath to abanā-e-vaqt haiñ
maiñ ahd-e-tīrgī meñ charāġhoñ ke saath huuñ
kyuuñ terī zindagī se nikālā gayā mujhe
kyā maiñ tire nisāb kī vājib zakāt huuñ
zindan-e-roz-o-shab mein asir-e-hayat hun
ek umr kaT gai hai magar be-sabaat hun
dekho to ek zarra hun is kaenat ka
samjho to apni zat mein ek kaenat hun
tu mawara-e-arsh-o-zamin-o-zaman hai
main tere izn-e-kun se sar-e-shash-jihat hun
hain kaba-e-darun mein butan-e-hawa-e-nafs
har chand ki main munkir-e-lat-o-manat hun
chalti hawa ke sath to abana-e-waqt hain
main ahd-e-tirgi mein charaghon ke sath hun
kyun teri zindagi se nikala gaya mujhe
kya main tere nisab ki wajib zakat hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.