zindagani mein hai KHushi tum se
zindagānī meñ hai ḳhushī tum se
zindagī zindagī banī tum se
shā.irī dil kā isti.āra hai
isti.āre meñ chāshnī tum se
haaḌ kī dhuup ne jalāyā hameñ
aas ham ko thī chhāñv kī tum se
kyā tumheñ mujh pe e'tibār nahīñ
maiñ karūñ aur dil-lagī tum se
kaam karne ko jī nahīñ kartā
tañg aayā huuñ shā.irī tum se
maiñ bhī rasta badalne vaalā huuñ
hai mulāqāt āḳhirī tum se
ham se jīvan ke ḳhaar haiñ 'ādil'
zindagī kī kalī kalī tum se
zindagani mein hai KHushi tum se
zindagi zindagi bani tum se
shairi dil ka istiara hai
istiare mein chashni tum se
haD ki dhup ne jalaya hamein
aas hum ko thi chhanw ki tum se
kya tumhein mujh pe e'tibar nahin
main karun aur dil-lagi tum se
kaam karne ko ji nahin karta
tang aaya hun shairi tum se
main bhi rasta badalne wala hun
hai mulaqat aaKHiri tum se
hum se jiwan ke KHar hain 'adil'
zindagi ki kali kali tum se
- Book : Inpage File Mail By Salim Saleem
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.