zindagi aai mujhko ras abhi
zindagī aa.ī mujh ko raas abhī
ḳhud ko dekhā hai kuchh udaas abhī
log jo duur jā chuke haiñ bahut
un kī yādeñ haiñ mere paas abhī
DhūñDhtī hai mirī nazar un ko
vo jo baiThe the mere paas abhī
ai ḳhudā kar de shab ko aur siyāh
hai ġharīboñ kā ye libās abhī
vo na aa.egā jāntā huuñ magar
dil meñ baaqī hai thoḌī aas abhī
lamha-e-zīst āḳhirī hai magar
tere dīdār kī hai pyaas abhī
zindagi aai mujh ko ras abhi
KHud ko dekha hai kuchh udas abhi
log jo dur ja chuke hain bahut
un ki yaaden hain mere pas abhi
DhunDhti hai meri nazar un ko
wo jo baiThe the mere pas abhi
ai KHuda kar de shab ko aur siyah
hai gharibon ka ye libas abhi
wo na aaega jaanta hun magar
dil mein baqi hai thoDi aas abhi
lamha-e-zist aaKHiri hai magar
tere didar ki hai pyas abhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.